mahatma Gandhi Setu bridge Bihar ki Shaan Bihar ki asli pahachaan

mahatma Gandhi Setu bridge Bihar ki Shaan Bihar ki asli pahachaan

mahatma Gandhi Setu bridge
Bihar ki Shaan Mahatma Gandhi Setu bridge Asia ki Sabse badi bridge hai. Ye hum bihariyo ke liye bahut Garv ki baat hai ki Asia ki Sabse lambi bridge hamare Bihar me hai. Aaj hum Mahatma Gandhi Setu bridge ke baare me khaas baat janenge jo hum harek Bihari ko jaanna chahiye  tabhi to hum kah sakenge ki haa hum Bihari hai or hame Garv hai Apne Bihari hone par to chaliye jaante hai.

Gandhi Setu bridge Asia ki Sabse lambi bridge hai. Jise log Ganga Setu ya Gandhi Setu ke Naam se jaante hai. Jo Bihar ki rajdhani Patna me hai. 1982  me is bridge ka udghatan Indra Gandhi ne Kiya tha jo us samay Bharat ki Pradhan mantri thee.
mahatma Gandhi Setu bridge
Is bridge ka Construction Gamon India ne kiya tha jisme lagbhag 88 Crore ₹ Lage the. Or is bridge me lagbhag 45 payein hai! Is bridge par roj lagbhag 40,000 gariya Cross Karti hai! Ye bridge Ganga Nadi ke upar se hokar North Bihar ko jorati hai! Lekin jarurat se jyada Overloading ke Karan aaj haal ye hai! Kal jo gariya hawai jahaj ki tarah daurati thee! Aaj chitiyo ki tarah ghisakti hai! Jiska Karan hai bridge ka ek track Damage ho Jana.
mahatma Gandhi Setu bridge
Ye Wahi part hai jo puri tarah se Damage hokar alag ho Gaya is track ke Damage ho jaane se aana- Jaana ek hi track se hota hai jiske Karan kafi Traffic Problem Hoti hai.
Bridge ka Maintaince ka kaam chal raha hai Lekin koi result  nahi aaya jiska Karan hai! Government ka Serious na hona!
So friends,
AAP log is post ko WhatsApp, Facebook har jagah share kijiye taki ho Sakta hai ki hamari Government tak pahuch jaaye.

Dhanywad,
Umeed karta hu AAP logo ko ye post 'mahatma Gandhi Setu bridge Bihar ki Shaan Bihar ki asli pahachaan!` pasand aayi hogi.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ